Ishaq Dar Dushanbe mein SCO Council of Heads of Government ijlas mein Pakistani wafd ki qiyadat karenge

Islamabad: Naib wazir-e-azam aur wazir-e-kharija Ishaq Dar Tajikistan ke darul-hukumat Dushanbe mein Shanghai Cooperation Organisation (SCO) ki Council of Heads of Government ke ijlas mein Pakistani wafd ki qiyadat karenge.
Dafter-e-Kharija ke mutabiq woh Tajikistan ke wazir-e-azam Qahir Rasulzoda ki dawat par ijlas mein shirkat karenge.
Council of Heads of Government tanzeem ka doosra aala tareen faisla saz idara hai, jo rukn mamalik ke darmiyan iqtisadi aur tijarati taawun samet mukhtalif shobon mein mushtarka hikmat-e-amali murattab karne mein aham kirdar ada karta hai.
Ijlas mein Belarus, China, Kazakhstan, Kyrgyzstan, Russia, Tajikistan aur Uzbekistan ke wuzara-e-azam shirkat karenge, jabke Iran ki numainda-gi naib sadr aur Bharat ki numainda-gi wazir-e-kharija karenge.
Ijlas mein rukn mamalik ke darmiyan iqtisadi, maaliyati, tijarati aur samaji o iqtisadi taawun, ilaqai rabita kari aur tanzeem ke budget se mutaliq umoor ka jaiza liya jayega.
Ishaq Dar ki Tajikistan ke sadr aur wazir-e-azam se mulaqatein bhi schedule hain, is ke alawa woh SCO ke rukn mamalik ke ham mansabon se do-tarfa mulaqatein bhi karenge.
Wazeh rahe ke Pakistan August 2027 mein SCO ke sarbarahan-e-mamlikat ke ijlas ki mezbani karega, jis ke liye Islamabad mein taiyariyan jari hain.











