Iran America jang: UAE ne mutabadil tijarti raste banane shuru kar diye

UAE ke sadarati mushir Anwar Gargash ne kaha hai ke tawanai baramadat aur tijarat ke liye mutabadil raste tayyar karna shuru kar diye hain, tawanai baramadat aur maashi sargarmiyon ko jang ke baais yarghamal nahin banne denge.
Anwar Gargash ne kaha ke mashriqi sahili ilaqon mein bandargahon ki gunjaish barhane par kaam jari hai, pipelines, railway aur mutabadil tijarti raste bhi tameeri marahil mein hain, Iran ke saath mamool ke talluqat bahal kiye ja sakte hain.
Unhon ne khaliji mumalik ki jaanib se irani hamlon ke khilaf ijtimai rad-e-amal ko nakafi qarar dete hue kaha ke Iran ko parosi mumalik ka aitmad dobara hasil karne mein kai dehaiyan lag sakti hain, mushtarka samajh boojh ko muttahid aur mooassir hikmat-e-amli mein tabdeel nahin kiya ja saka.
Unhon ne mazeed kaha ke Iran se darpesh khatre ka kai barson se idrak tha, khaliji mumalik Iran ko mushtarka rad-e-amal dene mein nakam rahe, UAE ne August mein Iran ke saath maali aur iqtisadi lain dain bhi muattal kar diya tha.











