رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Houthi militia ka Riyadh ki taraf daga gaya ballistic missile faza mein hi tabah kar diya gaya

Houthi militia ka Riyadh ki taraf daga gaya ballistic missile faza mein hi tabah kar diya gaya

Saudi ittehad ke tarjuman Major General Turkey al-Malki ke mutabiq Houthiyon ne Riyadh ke ilawa Besh, Taif, Farsan aur Yanbu mein shehriyon aur shehri tansibat ko nishana banane ki bhi koshish ki, tahum Saudi fazai difa ne tamam hamlon ko nakam bana diya.

International khabar rasan idaron ke mutabiq Riyadh mein hamle ke douran dhamakon ki awazein sunai dein jabke King Khalid International Airport ke qareeb dhuen ke badal bhi dekhe gaye, hamle ke nateeje mein kisi jani nuqsan ki ittela nahin mili.

Dusri janib Houthi fauji tarjuman Yahya Saree ne daawa kiya ke group ne Riyadh mein hassas maqamat aur Yanbu mein Saudi oil company Aramco ki tansibat ko missiles aur drones ke zariye nishana banaya, tahum Houthiyon ki janib se in daawon ke haq mein mazeed tafseelat ya shawahid faraham nahin kiye gaye.

Khayal rahe ke Riyadh par haliya hamla Saudi Arabia aur Houthiyon ke darmiyan jari kashidgi mein mazeed izafe ki nishandehi karta hai, jabke Saudi hukkam ne shehriyon aur aham tansibat ke tahaffuz ke liye fazai difa ko high alert kar diya hai.