Houthi militia Bahira-e-Ahmar mein ishtial angez karwaiyan band kare: Pakistan

Mutalba aise waqt mein samne aaya jab Aqwam-e-Muttahida ki Security Council ne is aham behri guzargah ko darpesh barhte hue khatre par doosri martaba behas ki.
Aqwam-e-Muttahida mein Pakistan ke mustaqil numainde Asim Iftikhar Ahmad ne Security Council ke ijlas se khitab karte hue kaha ke hum Houthi militia se mutalba karte hain ke woh in ishtial angez karwaiyon ko fori tor par band kare, kyunke in ke behri salamti, ilaqai aman aur istehkam ke liye sangeen nataij baramad ho sakte hain.
Yeh ijlas Bahrain ki darkhwast par munaqid hua, is se do roz qabl Security Council ko Bab al-Mandab ke atraf tezi se bigarti hui soorat-e-haal par briefing di gayi thi, bataya gaya ke Houthiyon ne Yemen ke maghribi sahil ke sath apni pesh qadmi jari rakhi hai aur mubayyina tor par Bahira-e-Ahmar ke janubi hisse mein kai jazair par qabza kar liya hai.
Aqwam-e-Muttahida ke Assistant Secretary General Khalid Khiari ne Security Council ko bataya ke abnaye aur is ke atraf ki soorat-e-haal musalsal ziyada kashida aur ghair yaqeeni hoti ja rahi hai.
Pakistani mandoob Asim Iftikhar Ahmad ne kaha ke Houthiyon ke hamle behri salamti ko shadeed nuqsan pahuncha rahe hain aur khitte ke mumalik, khusoosan mamlikat Saudi Arabia ke aman aur taraqqi ke liye khatra hain.
Unhon ne Saudi Arabia ko darpesh Houthiyon ki karwaiyon ko khuli aur bila ishtial jarahiyat qarar dete hue Saudi Arabia ki khudmukhtari, ilaqai salamiyat, salamti aur khushhali ke liye Pakistan ki ghair mutazalzil himayat ka aadah kiya.
Unhon ne kaha ke Pakistan Saudi qiyadat, hukumat aur awam ke sath mukammal yakjehti mein khada hai.
Pakistani safeer Asim ne kaha ke Bab al-Mandab aur abnaye Hormuz donon mein tijarati jahaz rani mein rukawatein is baat ko zahir karti hain ke samandari tanazaat ke asrat mutasira ilaqon se kahin aage tak pahunch sakte hain.
Unhon ne kaha ke abnaye Hormuz aur Bab al-Mandab donon mein tijarati jahaz rani mein khalal aur tijarati jahazon par hamlon ne wazeh kar diya hai ke samandar mein paida hone wale bohran barazamon aur mumalik ke liye bhi sangeen asrat rakhte hain.
Unhon ne mazeed kaha ke in aham behri guzargahon mein ghair yaqeeni soorat-e-haal ne na sirf aman o istehkam ko khatre mein dala hai balke tawanai ki qeematon mein bhi zabardast izafa kiya hai aur alami satah par ghiza’i adam tahaffuz ke khadshat barha diye hain.
Asim Iftikhar ne kaha ke abnaye Hormuz ek intihai aham behri tijarati rasta hai jahan se duniya bhar mein tijarat hone wale khaam tel ka taqriban ek tihai aur khad ki tijarat ka ek aham hissa guzarta hai, Pakistan abnaye mein paida hone wali rukawaton, bashumul tijarati jahazon par hamlon, par gehri tashweesh rakhta hai.
Safeer Asim Iftikhar ne samandari salamti se mutaliq Pakistan ke mauqif ko Iran aur America ke darmiyan jang shuru hone ke baad Pakistan ki safarti koshishon se joda aur kaha ke in bunyadi usoolon ki rahnumai mein Pakistan ne Iran aur America ke darmiyan salisi ka kirdar ada kiya, jab donon mumalik ke darmiyan kashidagi ka aghaz hua.
Unhon ne mazeed kaha ke apne doston aur sharakat daron ki himayat se hum ne kashidagi mein kami aur wasee tar ilaqai istehkam ke liye safarti koshishon ki qiyadat ki, jis ke nateeje mein jang bandi aur Islamabad mufahimati yaddasht par ittefaq hua.
Unhon ne kaha ke Pakistan samandar aur khushki par mamool ke halat ki jald bahali ke liye tamam zer-e-iltawa masail ka mazakrat ke zariye hal talash karne ki koshishein jari rakhega.
Pakistani mandoob ne bataya ke is maqsad ke hasool ke liye Pakistan khitte aur is se bahar tamam aman pasand mumalik ke sath mil kar samandari aman o salamti aur tijarati jahazon aur behri jahazon ke tahaffuz ke liye mazeed iqdamat karne ka khwahan hai.
Bahrain ke numainde Jamal Faris al-Rowaie ne apne ibtidai khitab mein Houthiyon ki is kashidagi ki muzammat ki jo un ke baqaul jang bandi ki khilaf warzi aur ilaqai o International salamti ke liye khatra hai.
Unhon ne kaha ke is kashidagi ne Yemen ke insani bohran ko bhi mazeed sangeen kar diya hai kyunke shehriyon ko apne gharon se naql makani karna par rahi hai, ab waqt aa gaya hai ke Security Council ziyada faisla kun mauqif ikhtiyar kare.
Saudi Arabia ke numainde Abdulaziz M. Al-Wasil ne khabardar kiya ke Houthiyon ki barhti hui karwaiyan Yemen, ilaqai salamti, International tijarat aur alami supply chains ke liye khatra hain, unhon ne Abha, Khamis Mushait, Jazan aur Najran par hone wale hamlon ka hawala diya jin mein shehri zakhmi hue. Unhon ne 14 September ko hone wale naye hamlon aur Bahira-e-Ahmar mein tijarati jahazon ko musalsal nishana banaye jane ka bhi zikr kiya.
China ke numainde Sun Li ne soorat-e-haal mein tezi se aane wali kashidagi par tashweesh ka izhar kiya aur Yemen aur Saudi Arabia ki khudmukhtari aur ilaqai salamiyat ke ehtram ka aadah kiya.
Unhon ne tawanai aur shehri bunyadi dhanche par hamlon ki mukhalifat karte hue kaha ke Bahira-e-Ahmar mein jahaz rani ka tahaffuz poori alami biradari ki mushtarka zimmedari hai aur tijarati jahazon ke huqooq ka ehtram kiya jana chahiye.











