Gwadar mein medical board ka ijlas: 46 mein se 40 khusoosi afraad ko maazoori certificate jari karne ki sifarish

Gwadar: Hukumat-e-Balochistan ki khusoosi afraad ki falah o behbood, samaji tahaffuz aur unhein muashre ke markazi dhare mein shamil karne ki policy ke tahat Medical Social Services Centre, Mir Abdul Ghafoor Kalmati Teaching Hospital Gwadar mein afraad-e-baham maazoori ki registration aur maazoori certificates ke ijra ke liye medical board ka ijlas munaqid hua.
Ijlas ki sadarat Medical Superintendent District Headquarter Hospital Gwadar Dr Hafeez ur Rehman ne ki, jis mein Deputy District Education Officer Gwadar Wajah Muhammad Hassan, Medical Expert Dr Sana Abid Sohrabi, Deputy District Health Officer Dr Farooq, Social Welfare Officer Medical Social Services Centre Obaidullah samet mahkama Social Welfare ke mutaliqa afsaran o ahlkaron ne shirkat ki.
Medical board ne khusoosi afraad ki registration ke liye mausool darkhwaston aur mutaliqa tibbi cases ka tafseeli tibbi o qanooni jaiza liya. Mujmui taur par 46 darkhwaston ka jaiza liya gaya, jin mein se 40 darkhwast guzaron ko tibbi muaayne aur muqarrara miyar par pura utarne ki bunyad par maazoori certificate jari karne ki sifarish ki gayi, jabke 2 darkhwastein muqarrara tibbi miyar par pura na utarne ke baais mustarad kar di gayin. Mazeed 4 darkhwast guzar board ke samne pesh na ho sake jin ke cases ka faisla aainda peshi ke baad kiya jaye ga.
Medical board ke arkan ne kaha ke khusoosi afraad ki registration aur maazoori certificates ke ijra ka amal shaffaf, munsifana, merit aur muqarrara tibbi miyar ke mutabiq jari rakha jaye ga taake haqiqi mustahiq afraad ko un ke huqooq aur hukumat ki falahi, samaji tahaffuz aur deegar muawin sahuliyat tak rasai yaqeeni banai ja sake.


Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











