Governor Jaffar Khan Mandokhail ka South Air Pakistan ke wafd se Quetta ta Zhob parwazein shuru karne par zor

Quetta: Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail ne Balochistan ke door uftada Azla ke awam ko fazai safar ki sahuliyat aur khidmat faraham karne par South Air Pakistan ka khair-maqdam kiya aur is baat par zor diya ke soobe ke liye qabil-e-etemad fazai rabte bohat zaroori hain.
Governor Mandokhail ne Quetta ta Zhob route par South Air ki parwazein shuru karne aur Quetta ta Sukkur, Quetta ta Multan, Zhob ta Multan aur Islamabad tak fazai rabte barhane par zor diya. Unhon ne Quetta ta Turbat aur Gwadar parwazon mein izafe ka bhi kaha aur kaha ke zameeni safar mein bohat se challenges darpesh hain.
Unhon ne umeed zahir ki ke behtar hawai safar ki sahuliyat o mawaqe faraham karne se maashi sargarmiyon mein izafa hoga, rozgar ke mawaqe paida honge, siyahat ko farogh milega aur maqami communities ko faida pahunchega.
Governor ne in khayalat ka izhar South Air Line Pakistan ke Chief Operating Officer Air Vice Marshal retired Ejaz Malik ki qayadat mein aane wale wafd se mulaqat ke dauran kiya. Chief Commercial Officer Siraj Anwar Qazi aur Regional Head Abdul Sattar Achakzai bhi wafd mein shamil the.
Wafd ne Governor ko flight operations, hifazati miyarat, musafiron ki khidmat aur mustaqbil ke tausee mansoobon se agah karte hue mehfooz, aram deh aur saste hawai safar ke azm ko ujagar kiya. Governor ne South Air Line ke hukkam par zor diya ke woh Balochistan ke mazeed Azla ko milane ke liye faal kirdar ada karein kyunke soobe ki maashi o samaji taraqqi o khushhali ke liye fazai rabton ko mazeed barhane ki ashad zaroorat hai.
South Air Pakistan ke wafd ne Governor ke taawun aur hausla afzai par shukriya ada kiya aur yaqeen dilaya ke air line apni khidmat ko deegar bare shehron tak anqareeb wusat dene ke liye kaam jari rakhegi.

Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan











