رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

FBR ke godam se 25 crore rupay ke cigarette ghayab, muqadma

FBR ke godam se 25 crore rupay ke cigarette ghayab, muqadma

FBR godamon se 25 crore rupay maliyat ke cigarettes ghayab hone ke scandal mein FIA ne FBR ke 5 ahlkaron aur nijji company ke 3 malikan samet 8 afraad ko namzad kiya, giraftariyon ke liye chhapay jari hain.

Assistant Director FIA Muhammad Safeer Ahmed ki mudaiyat mein muqadma darj kiya gaya, namzad mulzimaan mein Inspector Kamran, Inspector Naveed, driver, security guard, naib qasid, nijji company ke do directors aur manager shamil hain.

FIR ke mutabiq February 2024 mein Swabi mein cigarettes ke ek hazar 262 carton pakray gaye, jinhein Mardan ke FBR warehouse mein muntaqil kiya gaya, baad mein Inspector Kamran aur Naveed ne ek hazar 202 carton Mardan se Swabi muntaqil kiye, lekin Swabi godam pahunchne par trucks se 908 carton ghayab paye gaye.

Inspection mein majmui taur par do hazar 828 carton ghayab paye gaye, FIR mein ilzam aid kiya gaya hai ke cigarettes ki mubayyna chori mein FBR ke inspectors aur deegar amla barah-e-raast mulawwis tha aur mulzimaan ne mubayyna mili bhagat se sarkari khazane ko 25 crore rupay ka nuqsan pahunchaya.

Matan ke mutabiq godamon mein jaan boojh kar log book taiyar nahin ki gayi aur CCTV cameras bhi nasb nahin kiye gaye, jabke 908 carton ghayab hone ke bawajood FBR ne na karrawai ki aur na hi police ko itla di.

Mauzuaat: