رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Donald Trump ne midterm intikhabat ke baad dobara Iran par bombari ka imkan zahir kar diya

Donald Trump ne midterm intikhabat ke baad dobara Iran par bombari ka imkan zahir kar diya

White House mein sahafiyon se guftagu karte hue Trump ne Irani tajweez ko naqabil-e-qubool qarar diya aur kaha ke Iran Strait of Hormuz fori tor par kholne ke liye muahida karna chahta hai taham America ko is peshkash se ittefaq nahin.

Un ka kehna tha ke America ko Strait of Hormuz par pehle hi mukammal control hasil hai aur un ke mutabiq wahan se tel ki badi miqdar guzar rahi hai, Iran muahida karna chahta hai aur America bhi muahide ka khwahan hai tahem mojooda Irani peshkash qabil-e-qubool nahin.

Is se pehle Irani wazir-e-kharija Abbas Araghchi ne bataya tha ke unhon ne Qatar ke zariye America ko saat roza jang bandi mansooba pahuncha diya hai. America maan jaye to saat din mein Strait of Hormuz dobara kholi ja sakti hai.