رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Commercial qarz ki raqam mausool, mulki zarmubadla zakhair mein aik arab 18 crore dollar izafa

Commercial qarz ki raqam mausool, mulki zarmubadla zakhair mein aik arab 18 crore dollar izafa

State Bank ke mutabiq markazi bank ke zarmubadla zakhair 17 arab 11 crore dollar se barh kar 18 arab 32 crore 82 lakh dollar hogaye hain.

Doosri jaanib commercial banks ke zarmubadla zakhair mein 2 crore 30 lakh dollar ki kami record ki gayi, jis ke baad yeh zakhair 5 arab 38 crore 76 lakh dollar par aagaye.

Aadad o shumar ke mutabiq mulki majmoi zarmubadla zakhair aik arab 18 crore 80 lakh dollar izafe ke baad 23 arab 71 crore 58 lakh dollar ki satah par pahunch gaye hain.

Mauzuaat: