رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Chief Election Commissioner ki taqarruri, hukumat aur hizb-e-ikhtilaf mein mushawarat ka aaghaz

Chief Election Commissioner ki taqarruri, hukumat aur hizb-e-ikhtilaf mein mushawarat ka aaghaz

Qaid-e-hizb-e-ikhtilaf Raja Nasir Abbas ke chamber mein opposition ka aham ijlas hua jis mein Mahmood Khan Achakzai, Barrister Gohar aur Salman Akram Raja shareek hue.

Ijlas mein 27 September ehtijaj ke hawale se tafseeli mushawarat hui, PTI ko 27 September ke liye bharpoor tayyari ki hidayat ki gayi.

Mulk ke bigarte halaat par tamam jamaaton se rabta kar ke APC bulane ka faisla kiya gaya, 15 September ko Tehreek Tahaffuz Aaeen ka ijlas hoga aur APC ki tayyariyon ka jaiza liya jaye ga.

Zaraye ke mutabiq opposition leader ne wazir-e-azam ke khat ka jawab de diya aur wazir-e-azam se mushawarat ke liye din aur waqt maang liya.

Opposition leader Mahmood Khan Achakzai ne opposition rehnumaon ki mushawarat ke baad khat ka jawab diya.