رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Bushra Ansari ki wapsi, Fahad Mustafa ke sath nayi film ka elaan

Bushra Ansari ki wapsi, Fahad Mustafa ke sath nayi film ka elaan

Bushra Ansari ke mutabiq beroon-e-mulk masroofiyat mukammal karne ke baad woh Pakistan wapas aa chuki hain aur teen naye mansoobon mein kaam karne ja rahi hain, jin mein do drama serials aur aik film shamil hai.

Adakara ne bataya ke Fahad Mustafa ki film ki shooting December mein shuru hone ka imkan hai, tahum film ki mukammal cast ko hatmi shakl abhi nahin di gayi, maroof comedian Sohail Ahmed, jinhein ‘Azizi’ ke naam se bhi jana jata hai, bhi film ka hissa honge.

Bushra Ansari ne bataya ke un ke donon naye dramon ki shooting bil-tarteeb October aur November mein shuru hogi, ab woh Pakistan mein reh kar apne naye mansoobon par tawajjo dengi.

Adakara ne tasdeeq ki ke rawan baras drama ‘Shaidai’ mein nazar aane ke baad yeh un ke naye projects hain.

Samaji masail par apne mauqif aur Social Media par hone wali tanqeed ke hawale se guftagu karte hue Bushra Ansari ne kaha ke woh umooman muashre mein pesh aane wale aham aur mutaliqa waqiat par hi baat karti hain, Mir Raza aur Mustafa Amir cases ka hawala dete hue unhon ne kaha ke jab koi muamla hadd se zyada takleef deh mehsoos ho to woh apni raye ka izhar karti hain, tahum un ke baqaul woh aisi baat nahin kartin jis se kisi ki dil azari ho.

Bushra Ansari ne fashion designer Perishay Adnan ke sath aik TV program mein hone wali guftagu par bhi apne khayalat ka izhar karte hue kaha ke Perishay Adnan aikba-salahiyat designer hain aur program mein guftagu ka markaz un ki kamyabi honi chahiye thi, na ke un ke libas ya zati intikhab.

Perishay Adnan ne haal hi mein New York Fashion Week mein apni ‘Second Skin’ collection pesh karte hue show ka ikhtitam kiya tha, tahum program mein mezban Nadia Khan ne un ke gym ke libas aur walidain ki janib se un ke intikhab ko qubool kiye jane se mutaliq sawalat kiye the.

Bushra Ansari ne Perishay Adnan ko un ke kaam aur andaz ke hawale se munfarid qarar dete hue kaha ke un ka libas aur zati andaz un ka zati muamla hai, woh un se mulaqat ke mauqe par is muamle par barah-e-raast baat kar sakti hain.

Adakara ne mazeed kaha ke program ke baad Nadia Khan ko Social Media par trolling ka samna karna para, tahum un ke khayal mein online tanqeed ki bhi aik hadd honi chahiye, Bushra Ansari ne Social Media par mojood naqideen ke barhte hue rujhan par bhi baat ki, aaj kal har shakhs khud ko naqid samajhne laga hai, chahe use dramon ke bare mein malumat hon ya na hon aur us ka talluq Showbiz industry se ho ya na ho.

Unhon ne kaha ke ab koi bhi shakhs do mic laga kar podcast shuru karta hai aur phir har kisi par tanqeed shuru kar deta hai, mojooda daur mein har shakhs kisi ke bare mein kuch bhi keh sakta hai, tahum tanqeed mein bhi aik hadd honi chahiye.