رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Bijli chori wale ilaqon mein transformers band karne ke liye EPMS nasb: Awais Leghari

Bijli chori wale ilaqon mein transformers band karne ke liye EPMS nasb: Awais Leghari
Tasveer: PID

Islamabad: Wafaqi wazir Power Division Awais Leghari ne kaha hai ke bijli chori wale ilaqon mein transformers band karne ke liye EPMS nasb kiya ja raha hai.

DG Khan airport ke tausiyati mansube ke daure ke dauran guftagu mein unhon ne kaha ke airport ko International parwazon ke liye upgrade kiya ja raha hai. Mansooba sarhe 5 arab rupay laagat se January 2028 mein mukammal hoga.

Unhon ne kaha ke DG Khan mein wazir-e-azam ke elan kardah chaar bare taraqqiyati mansubon par kaam jari hai, jin mein cancer hospital, sewerage aur sarkon ki kushadgi ke mansube shamil hain.

Loadshedding aur bijli chori

Awais Leghari ne kaha ke mulk bhar mein loadshedding tay shuda mansube ke mutabiq ki ja rahi hai. 30 fisad ya us se zaid line losses wale feeders par loadshedding jari rahegi. Sarifeen ko bhari bharkam billon se bachaya gaya hai, taham bijli chori karne aur bill ada na karne walon ko relief nahin diya jayega.

Unhon ne kaha ke Iran America jang ke baais gas ki qillat se bijli ki paidawar mehngi ho rahi hai. Electronic power monitoring system se mutalliqa transformers band kiye jayenge. Un ke mutabiq EPMS ke nifaz se bijli chori wale ilaqon mein feeder ke deegar sarifeen mutasir nahin honge.

Mauzuaat: