Barrister Gohar ne wazir-e-azam ki muzakirat ki pesh kash ko achha qadam qarar de diya

Chairman PTI Barrister Gohar ne wazir-e-azam ki janib se muzakirat ki pesh kash ko achha qadam qarar de diya.
Parliament House ke bahar media se baat karte hue Barrister Gohar ka kehna tha ke achha baat hai ke muzakirat hon taake siyasi masail ka hal nikala ja sake. Isi tarah mulk ko ghair yaqeeni soorat-e-haal se nikala jasakta hai.
Chairman PTI Barrister Gohar ka kehna tha ke hukumat ki taraf se muzakirat ki pesh kash aa rahi hai, achhi baat hai agar wazir-e-azam sahab muzakirat ke liye iqdamat karen.
Un ka mazeed kehna tha ke umeed hai ke bani PTI ko hospital muntaqil kar diya jaye ga, yahan tak pahunchne mein bara waqt laga, umeed hai rukawat nahin dali jaye gi, yeh awam ka mandate hai ke woh kis ko pasand aur kis ko vote dete hain, hum aain ki baladasti aur azad adliya ke liye koshishen kar rahe hain.
Is se qabl wafaqi cabinet ijlas mein izhar-e-khayal karte hue wazir-e-azam ne kaha ke opposition ke sath muzakirat ke liye tayyar hain, opposition ko aik bar phir bamaqsad muzakirat ki dawat deta hoon, tali donon hathon se bajti hai. Opposition par munhasir hai woh kab tak mez par aate hain.











