Bairon mulk Taleem se wapsi par civil servants ke liye degree jama karana lazmi, naye SOPs jari

Islamabad: Establishment Division ne bairon-e-mulk aur mulk ke andar taleemi programmon, wazaif aur deputation se wapas aane wale civil servants ke liye degreeon ki tasdeeq aur maali zamanaton ki kari nigrani se mutaliq lazmi sharait aid kar di hain.
Naye SOPs ke tahat hukumat ne wazeh kiya hai ke sarkari kharch par bairon-e-mulk tarbiyat aur taleemi douron ko ab ghair muayyana muddat ki rukhsat tasawwur nahin kiya jaye ga. Qawaid ki khilaf warzi par mulazmat aur maali mamlat mein sakht sazaon ka nizam mutaarif kara diya gaya hai.
Degree jama karane ki shart
Bataya gaya hai ke maazi mein taleemi rukhsat ke baad wapas aane wale bureaucrats aksar apni hatmi asnaad jama karane mein takheer karte the, taham naye circular ne surat-e-haal yaksar tabdeel kar di hai.
Circular ke mutabiq wapas aane wale officers ko apni joining report ke sath degree certificate ki musaddaqa naql ya sarkari taleemi transcript jama karana hoga.
Agar koi officer kisi maqool aur musaddaqa wajah ke baghair degree jama karane mein nakam rehta hai to ise bazabta taur par duty se ghair hazir tasawwur kiya jaye ga.
Agar ghair mulki jamia se bazabta degree ke ijra mein takheer ho rahi ho to officer ko mutaliqa idare ki aisi qabil-e-tasdeeq dastavezat faraham karna hongi jo us ki taleemi karkardagi ke tasalli bakhsh hone ki tasdeeq karein aur takheer ki qabil-e-jawaz wajah bayan karein. In dastavezat ke baghair officer ko dobara duty join karne ki ijazat nahin di jaye gi.
Dastavezat jama hone ke baad degree aur joining report fori taur par Establishment Division ke Training Wing ko bhej di jayein gi taake markazi record mustaqil bunyadon par hum ahang aur murattab rakha ja sake.
Maali wajibat ka bayan
Wafaqi hukumat ne sarkari kharch par diye jane wale wazaif aur pesha warana tarbiyati programmon se mutaliq maali khamiyan door karne ke liye bhi iqdamat kiye hain, kyunke maazi mein baaz officers lazmi muddat-e-mulazmat poori kiye baghair mulazmat chhorne ya istifa dene ki koshish karte rahe hain.
Is ki roak tham ke liye Establishment Division ne har us officer ke liye maali wajibat ke markazi bayan ka tareeqa kaar mutaarif karaya hai jo zamanati bond par dastakhat karta hai.
Ab Training Wing paband hoga ke woh fori taur par Executive Wing ko maali tafseelat faraham kare. In mein wazife ki asal lagat, tarbiyat ke akhrajat aur officer ko ada ki gayi woh tamam raqoom shamil hongi jin ki wapsi mumkin hai.
Bayan mein lazmi muddat-e-mulazmat bhi wazeh taur par darj hogi, jis ke dauran officer ko wapsi ke baad riyasat ki khidmat anjam dena hogi. Zamanati bond ki khilaf warzi ki wazeh sharait, jin mein ghair manzoor shuda istifa dena ya mulazmat tark karna shamil hai, aur officer se qabil-e-wasool maali jurmane ki durust raqam bhi darj hogi.
Maali wajibat ka yeh bayan officer ki zaati file ka bunyadi hissa hoga aur us ke mulazmati mamlat ya sharait se mutaliq koi bhi intezami faisla zer-e-ghaur aane par ise mujaz hukkam ke samne bazabta taur par pesh karna lazim hoga.
Tauseeh ki darkhwast ghair hazri ka jawaz nahin
Establishment Division ne wazeh kiya hai ke manzoor shuda rukhsat, taleemi rukhsat ya deputation mein tauseeh ki darkhwast dena bazat-e-khud officer ki musalsal ghair hazri ka jawaz nahin bane ga.
Officers paband honge ke manzoor shuda muddat mukammal hote hi duty par report karein, khwah un ki tauseeh ki darkhwastein manzoori ki muntazir hon.
Joining report jama na karane ki surat mein officer ko baghair ijazat ghair hazir tasawwur kiya ja sakta hai, jabke mamla munasib hidayat ke liye aala officers ko bheja ja sakta hai.











