72 mumalik ki jailon mein 21 hazar 647 Pakistani qaid, National Assembly mein tafsilat pesh

Islamabad: Duniya ke 72 mumalik ki jailon mein 21 hazar 647 Pakistani qaid hain. In mein sab se zyada 5 hazar 297 Pakistani UAE jabke 4 hazar 775 Saudi Arabia ki jailon mein qaid hain. Bharat mein bhi 738 Pakistani mukhtalif muqadmat mein qaid hain.
Yeh tafsilat wazir-e-kharija Ishaq Dar ki jaanib se National Assembly mein waqfa-e-sawalat ke dauran tahriri jawab mein pesh ki gayin.
Wizarat-e-kharija ke jawab ke mutabiq bairoon-e-mulk qaid Pakistani shehri mukhtalif nauiyat ke muqadmat ka samna kar rahe hain, jin mein dhoka dehi, manshiyat ki smuggling, jinsi hamle, jaali visaon aur dastaweezat ka istemal, qatl aur deegar jaraim shamil hain.
Jawab mein kaha gaya hai ke UAE aur Saudi Arabia mein Pakistani qaidiyon ki tadad deegar mumalik ke muqable mein namayan tor par zyada hai. Bairoon-e-mulk qaid Pakistani shehriyon ke muamalat mukhtalif mumalik ke qawanin aur adalati karrawaiyon se mutalliq hain.











