2026 mein koi Pakistani airline barwaqt rawangi ki shart poori na kar saki

Pakistan Railway ke saath saath hawai jahaz bhi waqt ki pabandi hawa mein urane lage. Do saala karkardagi report mein koi airline barwaqt rawangi ki muqarrara shart poori na kar saki. 2026 mein sirf 67.5 feesad parwazein waqt par rawana hui.
Pakistan mein musafir hawai jahazon ki rawangi mein takheer mamool ban gayi. Tamam airlines ki do saala karkardagi report ke mutabiq 2026 mein koi airline barwaqt rawangi ki qanooni shart poori na kar saki.
Report ke mutabiq 2026 ke dauran sirf 67.5 feesad parwazein waqt par rawana hui, jabke ek saal pehle barwaqt rawangi ki sharah 68.4 feesad thi. 2024 mein mulk ki paanch airlines ki bahattar ashariya chhe feesad parwazein barwaqt rawana hui thi.
Qanoon ke tehat airlines ke liye 80 feesad parwazein barwaqt rawana karna lazim hai. Parwazon ki mansookhi ke qanoon par 2024 mein chaar mein se do airlines muqarrara miyar par poori utarin. Miyar par poora na utarne wali airlines ke khilaf Civil Aviation ne karrawai shuru kar di hai.
CAA ke mutabiq qanoon par amal na hone par show cause notice aur jurmane kiye ja rahe hain, parwaz mein takheer ya mansookhi par 10 lakh rupay tak jurmana aid kiya jata hai, jabke jurmane ki raqam ab airline ke deposit account se kati jati hai.











