Tarbela Dam mein pani ki aamad mein musalsal izafa, zakhira karne ki salahiyat ek foot reh gayi

Dam intezamia ke mutabiq Tarbela Dam mein pani ki satah 1549.38 foot ho gayi hai jabke pani zakhira karne ki salahiyat ek foot reh gayi hai, Tarbela Dam ka dead level 1402 foot aur full level 1550 foot hai,
Dam intezamia ke mutabiq Tarbela Dam mein pani ki aamad 1 lakh 16 hazar 700 cusec jabke akhraj 1 lakh 34 hazar 700 cusec hai.
Mauzuaat:Mutafarriq











