رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Mushkil waqt mein khilariyon par malba nahin daalunga, Sarfraz Ahmed

Mushkil waqt mein khilariyon par malba nahin daalunga, Sarfraz Ahmed

Unhon ne kaha ke Muhammad Rizwan, Saud Shakeel aur Salman Ali Agha ne perform bhi kiya hai, lekin aaj runs nahin kar rahe, to bator head coach un ke saath khara hoon, series ke baad baithenge, baat karenge, phir tay karenge, kis ko rakhna hai, kis ko nikalna hai.

Sarfraz Ahmed ne kaha ke tasleem karta hoon, batting mein masail hain, yeh saare achhe larke hain, bohat mehnat kar rahe hain, afsos nataij hamare haq mein nahin aa rahe, lekin hum ko is haqeeqat ko tasleem karna parega ke Pakistan Cricket Team aik pesha varana team hai, agar isay International satah par apna tashakhus aalami miyar ke mutabiq rakhna hai, to larkon ko perform karna hoga.

Unhon ne kaha ke first class Cricket mein jana hoga, apni khamiyon par kaam karna hoga, yeh zaroori hai, jahan tak rahi team ki performance to bator head coach mein mukammal zimmedari qabool karta hoon, kisi ko mauridilzam nahin thehraunga.