رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 20° Saaf 22° / 11°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Ishaq Dar ki Saudi wazir-e-kharija se guftagu, OIC ke naye Secretary General par mubarakbad

Ishaq Dar ki Saudi wazir-e-kharija se guftagu, OIC ke naye Secretary General par mubarakbad

Wazarat-e-kharija ke mutabiq Ishaq Dar ne Saudi wazir-e-kharija Shehzada Faisal bin Farhan se guftagu ke dauran Mauritania ke Ismail Ould Sheikh Ahmed ke ittefaq-e-raye se Islami Taawun Tanzeem (OIC) ka naya Secretary General muntakhib hone par unhein mubarakbad di.

Donon wuzra-e-kharija ne ilaqai surat-e-haal aur bahami dilchaspi ke deegar muamlat par bhi tabadla-e-khayal kiya, guftagu mein R4 ke aainda ijlas se mutaliq umoor bhi zer-e-behas aaye, donon rahnumaon ne qareebi rabta aur mushawarat jari rakhne par ittefaq kiya.