IMC Over 40 World Cup: Pakistan ne Bharat ko 8 wicketon se shikast de di

Guyana: IMC Over 40 Cricket World Cup mein Pakistan ne apne doosre match mein riwayati harif Bharat ko 8 wicketon se shikast de di.
Mausoola ittilaat ke mutabiq Guyana mein jari event ke nawen match mein toss jeet kar pehle batting karte hue Bharati team 34.3 overs mein 143 runs par dher ho gayi.
Murtaza Ali ne 48 aur Amit Mishra ne 38 runs ke saath mazahmat ki. Pakistan ki janib se Muhammad Khalil ne 3, Muhammad Irfan aur Fahad Jabbar ne 2, 2 jabke Waseem Ali aur Syed Fareeduddin ne ek ek wicket hasil ki.
Jawab mein Pakistan ne matlooba hadaf 26.2 over mein 3 wicketon ke nuqsan par hasil kar liya. Adnan Akmal aur Shahryar Ghani 63, 63 runs bana kar numayan rahe, jabke Bharat ki janib se Amit Mishra ne 2 khilariyon ko out kiya.
Yaad rahe ke Pakistan ne apne pehle match mein Rest of the Caribbean ko haraya tha.











