Gwadar mein NADRA ki mobile registration van service ka aghaz, khawateen ko shanakhti card ki sahulat

Gwadar: National Database and Registration Authority (NADRA) ne khawateen ko shanakhti dastaweezat ki sahulat un ke qareeb faraham karne ke liye Baladiya Office Gwadar mein mobile registration van service ka aghaz kar diya hai.
Mobile registration van ke zariye khawateen ko shanakhti card ke ijra, tajdeed aur deegar zaroori shanakhti khidmat aik hi maqam par faraham ki ja rahi hain. Yeh iqdam hukumat ki awam dost policy ke tehat shehriyon ko bunyadi sarkari khidmat un ki dehleez ke qareeb faraham karne ki janib ahem pesh raft hai.
Is service ka maqsad shehriyon, bil-khusoos khawateen ko sarkari khidmat tak aasaan, barwaqt aur mauassir rasai dena aur unhein ghair zaroori safar aur mushkilat se nijat dilana hai.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan











