Dhadar: Quetta-Jacobabad shahrah par ghair qanooni Toddy service ke khilaf karwai

Dhadar, zila Kachhi: Soobai secretary transport Balochistan Muhammad Hayat Kakar aur secretary Provincial Transport Authority (PTA) Balochistan Abdul Majeed Jonjo ki khusoosi hidayat par Quetta-Jacobabad qaumi shahrah par ghair qanooni Toddy service, baghair route permit gariyon, ghair mujaz routes ke istemal, search lights aur overloading ke khilaf karwai amal mein layi gayi.
Karwai PTA Balochistan aur traffic police Kachhi ne DIG Sibi Muhammad Pervez Umrani, DPO Kachhi Ghulam Murtaza Bhutto aur DSP circle Sher Muhammad ki nigrani mein ki. Is douran ghair qanooni tor par Toddy service chalane wali 26 cars band kar di gayin, jabke baghair route permit aur muqarrara ijazat ke baghair routes istemal karne wali 27 goods transport gariyon ke challan kiye gaye.
Karwai ke douran muta’addid gariyon se ghair qanooni search lights bhi utar di gayin, jabke overloading ke murtakib transporters ko qawanin ki pabandi karne ki sakht hidayat ki gayi.
Muta’alliqa hukkam ne wazeh kiya ke transport qawanin par moassir amal daramad, ghair qanooni transport services ki rok tham aur qaumi shahraahon par mehfooz o munazzam traffic ki rawani yaqeeni banane ke liye karwaiyan jari rahengi. Baghair route permit gariyan chalane, ghair qanooni service faraham karne aur deegar transport qawanin ki khilaf warzi karne walon ke khilaf bila imtiaz qanooni karwai ki jayegi.
Hukkam ne transporters ko hidayat ki ke woh muta’alliqa qawanin, route permit aur deegar qanooni taqazon ki mukammal pabandi karein, overloading se gurez karein aur gariyon mein ghair qanooni search lights nasb karne se baz rahein,ba surat-e-deegar khilaf warzi karne walon ke khilaf sakht karwai amal mein layi jayegi.
Unhon ne mazeed kaha ke ghair qanooni Toddy car service transport ke shobe aur hukumati revenue ke liye sab se bara masla hai. Yeh tamam gariyan baghair commercial registered hain aur musafiron ko bithane walon ke khilaf karwai hogi.

Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan











