Haris Rauf ko 20 feesad aur England ko 15 feesad jurmana

Islamabad: Pakistan ke fast bowler Haris Rauf par England ke khilaf match mein code of conduct ki khilaf warzi par match fee ka 20 feesad jurmana aid kar diya gaya.
England ki team par slow over rate ki wajah se match fee ka 15 feesad jurmana kiya gaya hai, England ne muqarrara waqt mein 3 overs kam karaye the.
Haris Rauf ko ICC code of conduct ke level one ki khilaf warzi par jurmana kiya gaya. Teen mulki series mein itwar ko England ke khilaf match ke 46wein over mein non striking end par khare Haris Rauf ne wide ball ki appeal ki aur phir England ke khilari Will Jacks ke sath behas ki thi.
ICC ke mutabiq Haris Rauf ne apna bat uthaya aur umpire ki warning ke bawajood behas jari rakhi, aur umpire ko peechay karte hue Will Jacks ki taraf barhe.
Haris Rauf ko jurmane ke alawa aik demerit point bhi diya gaya hai, jis ke baad un ke demerit points majmooi taur par 5 ho gaye hain.











