Wazir-e-khazana Aurangzeb: SMEs aur kisanon ko aasan qarzon ki faraahmi taiz karne ki hidayat

Islamabad: Wafaqi wazir-e-khazana Muhammad Aurangzeb ki zair-e-sadarat rasai barae maliyat steering committee ka chhatha ijlas hua, jis mein chhote aur darmiyane darje ke karobaron (SMEs), Zaraat, baramadat, housing aur electric gariyon samet aham shobon ke liye aasan qarzon ki faraahmi aur maali moavanat ki pesh raft ka jaiza liya gaya.
Wizarat-e-khazana ke mutabiq ijlas mein chhote karobaron aur zaraee shobe ke liye qarzon ki faraahmi, wazir-e-azam ki mukhtalif schemon par amal dar amad aur maliyati sahuliyat tak aam shehriyon ki rasai behtar banane se mutaliq umoor zer-e-ghaur aaye.
Wazir-e-khazana ne mutaliqa maliyati idaron ko hidayat ki ke qarzon ki faraahmi ka amal taiz kiya jaye taake kisanon, karobari idaron aur mehroom tabqat ko moassir andaz mein maali moavanat faraham ki ja sake.
Chhote karobar aur Zaraat
Wizarat-e-khazana ke jari kardah aadad o shumar ke mutabiq chhote karobaron ke liye qarzon ka hajm 1,148 arab rupay tak pahunch gaya hai, jab ke is shobe ko 538 arab rupay ki financing faraham ki ja chuki hai. Zaraee shobe mein qarzon ka hajm 1,329 arab rupay tak pahunch gaya hai aur taqriban 35 lakh afrad zaraee qarzon se mustafid ho rahe hain.
Zarkhez aasan zaraee qarza scheme ke tehat 8 arab 67 crore rupay se zaid ke qarzon ki darkhwastein manzoor ki gayin, jab ke chhote kisanon ko 2 arab 34 crore rupay ke bila sood zamanti qarze faraham kiye gaye hain.
Housing aur electric gariyan
Wazir-e-azam ki Apna Ghar scheme ke tehat 511 arab rupay ke qarzon ki darkhwastein manzoor ki ja chuki hain, jab ke 15 hazar 584 afrad ko 91 arab rupay ke qarze jari kiye gaye hain. Mulk mein housing financing ka majmooi hajm 455 arab rupay tak pahunch gaya hai, jis se taqriban 2 lakh 41 hazar 500 afrad mustafid ho rahe hain.
Wazir-e-azam ki electric vehicle scheme ke tehat 3 arab 6 crore rupay ke qarzon ki darkhwastein manzoor ki gayin, jab ke ek arab 9 crore rupay se zaid ke qarze jari kiye ja chuke hain. Is scheme ke tehat 3 hazar 263 electric gariyan sarifin ke hawale ki gayi hain.
Ijlas mein SMEs ki maali istadad barhane ke liye maliyati aagahi, digital sahuliyat aur accounting support behtar banane par ittefaq kiya gaya. Chhote karobaron aur baramad kunindgan ko qarzon ki faraahmi aasan banane ke liye digital credit scoring ke mansoobon ka bhi jaiza liya gaya.
Shurka ne zor diya ke qarzon ki faraahmi ke amal mein digital data ka tabadla mehfooz aur mutaliqa afrad ki razamandi se kiya jaye taake maliyati nizam mein shaffafiyat aur aitemad ko farogh diya ja sake.
Wazir-e-khazana Muhammad Aurangzeb ne maliyati idaron ko tai shuda islahat par tezi se amal dar amad ki hidayat karte hue kaha ke chhote karobaron, kisanon aur maali sahuliyat se mehroom tabqat tak aasan qarzon ki rasai yaqeeni banana zaroori hai. Ijlas mein azm dohraya gaya ke maliyati sahuliyat ko mazeed moassir banaya jayega taake karobari sargarmiyon, zaraee paidawar, baramadat aur kam lagat rahaish ke shobon ko farogh mil sake.










