Spain mein do trainon ka tasadum, halakaten 60 se mutajawiz, darjanon zakhmi tashweeshnak

Madrid: Spain ke darul-hukumat Madrid ke junoob mein Ourense ke qareeb do trainon ke tasadum mein halakaton ki tadad 60 se tajawuz kar gayi hai. BBC Urdu ke mutabiq Renfe ki train patri par khari Iryo ki train se ja takrayi.
Hadse mein zakhmi hone wale mutaddid afrad hospitalon mein zer-e-ilaj hain, jin mein se darjanon ki halat tashweeshnak batayi gayi hai.
Hispani wazir-e-transport Oscar Puente ne hadse ko ‘waqai na-qabil-e-yaqeen’ qarar diya. Un ke mutabiq computer nizam mein kharabi ke bais ibtida mein chhe trainen rok di gayi thin, jin mein hadse ka shikar hone wali donon trainen bhi shamil thin.
Wazir-e-transport ne bataya ke kharabi ke baad control centre ne muamlat sambhale aur baad mein trainon ko dobara chalane ka faisla kiya. Is dauran raftar par koi pabandi aid nahin thi.
Puente ke mutabiq trainen dobara chalane ka faisla ‘na-qabil-e-fahm halat mein’ kiya gaya, aur isi ke nateeje mein Renfe ki train aage khari Iryo ki train se takra gayi.











