رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 13° Saaf 23° / 11°Fajr 05:23Zuhr 12:16Asr 16:10Maghrib 17:47Isha 19:08
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Mary Kom: Un ki biopic mein jaddojehad ka sirf 10 feesad dikhaya gaya

Mary Kom: Un ki biopic mein jaddojehad ka sirf 10 feesad dikhaya gaya
File photo: Boxer Mary Kom — Tasveer: Bashukriya olympics.com

New Delhi: Maroof Bharati boxer Mary Kom ne apni zindagi par bannay wali film ko ghair haqeeqi qarar dete hue kaha hai ke is mein un ki jaddojehad aur mehnat ka sirf 10 feesad hissa dikhaya gaya.

Bharati akhbar ko interview dete hue Mary Kom ne kaha ke un ki zindagi ki asal mushkilat aur jaddojehad ko samajhne ke liye un ki kitab Unbreakable parhni chahiye.

Unhon ne kaha ke film ka doosra hissa banane ki zaroorat nahin, kyunke un ke career aur zindagi ki kahani film aur kitab mein pehle hi bayan ki ja chuki hai.

2014 mein release hone wali film Mary Kom mein adakara Priyanka Chopra ne markazi kirdar ada kiya tha. Film mein Mary Kom ke boxing career aur kamyabiyon ko dikhaya gaya tha, jabke is kirdar par Priyanka Chopra ko behtareen adakara ka qaumi filmi award bhi mila tha.

Mary Kom ne 2012 ke London Olympics mein kansi ka tamgha jeeta tha aur woh 6 martaba aalmi boxing champion bhi ban chuki hain.

Priyanka Chopra ne 2022 mein ek interview mein aitraaf kiya tha ke Mary Kom ke kirdar ke liye shumal mashriqi Bharat se talluq rakhne wali kisi adakara ka intikhab zyada munasib hota. Mary Kom ka talluq riyasat Manipur se hai, jabke Priyanka ka talluq shumali Bharat se hai aur donon ki jismani sakht bhi mukhtalif thi.

Priyanka Chopra ne kaha ke Mary Kom ki zindagi se mutasir ho kar unhon ne yeh kirdar qabool kiya tha. Is kirdar ki tayyari ke liye unhon ne taqriban 5 maah boxing ki tarbiyat hasil ki aur jismani sakht mein tabdeeli bhi layi thin.