رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Zaviyar Noman Ijaz bachpan mein meningitis ka shikar hue, Germany mein haalat tashweeshnak ho gayi thi

Zaviyar Noman Ijaz bachpan mein meningitis ka shikar hue, Germany mein haalat tashweeshnak ho gayi thi

hue the aur un ki haalat intehai tashweeshnak ho gayi thi.

Yeh inkishaf adakar Noman Masood ne ek podcast mein guftagu ke dauran kiya jahan unhon ne Zaviyar Noman Ijaz ke bachpan ka ek waqia yaad kiya.

Ali Salman ne bataya ke yeh us waqt ki baat hai jab Noman Ijaz ek serial ki shooting ke silsile mein Germany gaye hue the aur un ke ahl-e-khana bhi wahan maujood the. Isi dauran Zaviyar Noman Ijaz meningitis ka shikar ho gaye the.

Unhon ne bataya ke Zaviyar ki walida Rabia unhein fori taur par hospital le kar gayi thin jabke surat-e-haal ki sangeeni ke baais Noman Ijaz ko bhi hospital pahunchna pada tha.

Noman Masood ne waqie ki tasdeeq karte hue kaha ke Zaviyar ki tabiyat us waqt bahut zyada kharab ho gayi thi aur muamla sangeen tha magar woh is waqie ko waqt guzarne ke sath bhool chuke the.