Wazir-e-azam se Gates Foundation ke wafd ki mulaqat, Polio ke khatme, digital adaigiyon par guftagu

Wazir-e-azam Muhammad Shehbaz Sharif ne Pakistan ke taraqqiyati challenges ke dauran Gates Foundation ki musalsal muaawanat aur sharakat daari ko saraha.
Wazir-e-azam ne kaha ke Pakistan Polio ke mukammal khatme ke mushtarka hadaf ke hasool ke liye purazm hai, Polio ke khatme ke qaumi program ko aala tareen satah par sarparasti hasil hai.
Muhammad Shehbaz Sharif ne kaha ke Gates Foundation ne Polio ke khatme, sehat, ghizaiyat, maliyati shamooliyat aur muashre ke kamzor tabqat ki falah o behbood ke liye qabil-e-qadar kirdar ada kiya hai.
Wazir-e-azam ne kaha ke digital adaigiyan, ghizai tahaffuz, zachcha o nawzaida sehat, ghurbat ka khatma aur mausamiyati tabdeeli samet aham islahati tarjihat governance reforms agenda ka hissa hain.
Unhon ne kaha ke cashless economy Pakistan hukumat ke tabdeeli ke agende ka bunyadi hissa hai, cashless Pakistan ka maqsad aam shehriyon ki zindagi aasan banana, hukumati nizam mein shaffafiyat barhana aur sarkari raqoom ko baghair kisi takheer ya ziya ke mustahiqeen tak pahunchana hai.
Muhammad Shehbaz Sharif ne kaha ke hukumat aur Gates Foundation ki mushtarka koshishon ke nateeje mein digital adaigiyon mein izafa ho raha hai, mustahiq khawateen ko apni maali muaawanat barah-e-raast, mehfooz aur bawaqar andaz mein milni chahiye.
Wazir-e-azam ne Gates Foundation ke saath mil kar khawateen ki maliyati shamooliyat aur muashi khudmukhtari ke liye markooz iqdamat par kaam karne ki khwahish ka izhar kiya.
Mulaqat mein Pakistan aur Gates Foundation ke darmiyan taawun aur sharakat daari ko mazeed moasir banane ke umoor par tabadla-e-khayal kiya gaya.











