رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 13° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Wazir-e-azam aur Saudi wali ahd ka telephonic rabta, aqleemi aman o istehkam par tabadla-e-khayal

Wazir-e-azam aur Saudi wali ahd ka telephonic rabta, aqleemi aman o istehkam par tabadla-e-khayal

Wazir-e-azam Shehbaz Sharif ne Saudi Arabia par Houthiyon ke haliya hamlon, bil-khusus shehri aur iqtisadi buniyadi dhanche ko nishana banane ki shadeed mazammat karte hue Saudi qiyadat aur baradar Saudi awam ke sath mukammal yakjehti ka izhar kiya.

Unhon ne kaha ke Houthiyon ki haliya karrawaiyan aqleemi aman o salamti ke liye khatra hain aur aalmi maeeshat samet tawanai ki faraahmi mein mazeed khalal ka baais ban sakti hain.

Wazir-e-azam ka kehna tha ke woh Field Marshal Syed Asim Munir aur Naib Wazir-e-azam o Wazir-e-kharija Muhammad Ishaq Dar ke humrah kashidagi mein kami aur khitte mein aman ke qiyam ke liye koshishen jari rakhenge.

Shehbaz Sharif ne mojooda bohran ke dauran danishmandana aur durandesh qiyadat par Saudi wali ahd ko khiraj-e-tehseen pesh kiya aur Khadim-e-Haramain Sharifain Shah Salman bin Abdulaziz Al Saud ke liye nek khwahishat aur dili ehtiram ka izhar kiya.

Dusri janib Saudi wali ahd Shehzada Mohammed bin Salman ne Saudi Arabia ke liye Pakistan ki musalsal aur sabit qadam himayat ko saraahte hue khitte mein aman o istehkam ke liye Pakistan ki koshishon ki bhi taareef ki.

Donon rehnumaon ne qareebi rabta barqarar rakhne par ittefaq kiya aur jald mulaqat ki khwahish ka izhar kiya.