Tasaweer aur Videos ki mubayyina taur par baghair ijazat istemal, Urvashi Rautela ka AI company ko qanooni notice

Adakara ki team ki jaanib se jari bayan mein kaha gaya hai ke mutaalliqa company ne mubayyina taur par Urvashi ki ijazat ke baghair un ki shanakht aur zaati mawad istemal kiya. Team ke mutabiq is mamle par qanooni raasta ikhtiyar kiya ja raha hai aur harjane ka takhmina filhal 7 hazar crore rupay lagaya gaya hai.
Bayan mein is baat par zor diya gaya ke kisi bhi fard ke naam, tasveer ya shabahat ko tijarati maqasid ke liye istemal karne se pehle us ki baqaida ijazat hasil karna zaroori hai. Team ne is mauqif ko adakara ki shanakht aur huqooq ke tahaffuz se jora hai.











