Shumali Korea ke rahnuma Kim Jong Un brain hemorrhage aur maut ki afwahon ke baad manzar-e-aam par aa gaye

Pyongyang: Shumali Korea ke rahnuma Kim Jong Un dimagh mein khoon behne, coma mein jane aur maut se mutaliq ghair musaddaqa afwahon ke baad manzar-e-aam par aa gaye hain.
Shumali Korea ke sarkari khabar rasan idare KCNA ki jari kardah tasaweer mein Kim Jong Un ko malbusat aur juton ki numaish ka muayena karte dekha ja sakta hai.
Kim Jong Un ne haal hi mein qaumi malbusat aur juton ki numaish ka daura kiya. Is mauqe par un ki ahliya Ri Sol Ju aur beti Kim Ju Ae bhi un ke hamrah thin. Tasaweer mein woh numaish mein rakhi masnuaat ka jaiza lete aur hukkam se baat cheet karte nazar aaye.
Social Media par afwahen
Kim Jong Un ki Sehat se mutaliq afwahen Social Media par phaili thin. Mukhtalif posts mein daawa kiya gaya tha ke dimagh mein shadeed khoon behne ke baad coma mein jane par unhen hangami ilaj ke liye Beijing muntaqil kiya gaya hai.
Baaz Social Media accounts ne un ki mumkina janashini se mutaliq sawalat bhi uthaye, jin mein un ki beti Kim Ju Ae aur baasar behan Kim Yo Jong ke naam liye gaye. Taham un ki Sehat ya mumkina iqtidar ki muntaqili se mutaliq in daawon ke haq mein koi qabil-e-tasdeeq saboot samne nahin aaya.
Social Media platform X samet mukhtalif online platforms par yeh afwahen bade paimane par phailin. Baaz posts mein daawa kiya gaya ke Pyongyang mein tibbi sahulatein mehdood hone ke baais Kim Jong Un ko Beijing ke ek hospital muntaqil kiya gaya.
Kim Jong Un ki Sehat par sawalat pehli martaba nahin uthe. 2020 mein bhi kai roz tak awami satah par nazar na aane ke baad un ki maut ya coma mein hone ki afwahen phaili thin, taham woh baad mein dobara manzar-e-aam par aa gaye the.
Shumali Korea mein malumat ki razdari ke baais un ki mukhtasar awami ghair mojoodgi bhi Sehat aur mumkina janashin se mutaliq qayas arai-on ko janam deti hai.
Ghair mulki hukumatein aur intelligence idare bhi Kim Jong Un ki sargarmiyon par nazar rakhte hain, kyunke Shumali Korea ki qiyadat mein kisi bhi tabdeeli ke aqleemi salamati par asarat murattab ho sakte hain.











