White House: November ke wasat muddati intikhabat se pehle Iran par hamle ka koi irada nahin

Washington: Amriki sadr Donald Trump ki intizamia ne wazeh kiya hai ke America November mein hone wale wasat muddati intikhabat se qabl Iran par hamla nahin karega.
Arab TV ke mutabiq White House ki naib tarjuman Anna Kelly ne Iran ki qiyadat ko nishana banane se mutaliq sadr Trump aur Netanyahu ke mubayyana mazakrat par sawal ka jawab dete hue kaha ke sadr Trump ke baqaul Iran maashi aur fauji donon lihaz se intihai kharab haalat mein hai.
Unhon ne yeh daawa bhi kiya ke Abnae Hormuz mein Iran ki bahri nakabandi poori shiddat ke sath jari rahegi aur Irani bandish ke bawajood Abnae Hormuz ke raste tel ki tarseel record satah par jari hai.
Anna Kelly ne wazeh alfaz mein kaha ke America November ke wasat muddati intikhabat se pehle kisi bhi waqt Iran par hamla nahin karega.
Netanyahu ka daawa aur Trump ka indiya
Qabl azin sadr Trump bhi indiya de chuke hain ke woh wasat muddati intikhabat se qabl Iran par hamle se gurez karenge, lekin is ke baad bharpoor aur hatmi hamla karenge.
Israeli wazir-e-azam Netanyahu ne daawa kiya tha ke sadr Trump Irani qiyadat ko khatam karne ke un ke mansube ki mukammal himayat karte hain, taham White House ke taza bayan se kisi fauri hamle ki tardeed ho gayi.
Wazeh rahe ke America mein wasat muddati intikhabat November mein honge, lekin Iran jang ke baais barhti hui petrol ki qeematon aur jang mein khatir khwah kamyabi na milne par sadr Trump ki maqbooliyat mein be panah kami waqe hui hai aur kai marakon mein un ki shikast ke saye gehre hain.











