Shehbaz Sharif se Saudi karobari wafd ki mulaqat, sarmaya kari ke farogh par guftagu

Wazir-e-azam Shehbaz Sharif se aala satah ke Saudi karobari wafd ne mulaqat ki, jis dauran iqtisadi taawun aur sarmaya kari ko farogh dene ke hawale se tabadla-e-khayal kiya gaya. Wazir-e-azam ne kaha ke dono mumalik ke darmiyan mushtarka taawun ke liye yeh behtareen aur mauzoon tareen waqt hai.
Wazir-e-azam Shehbaz Sharif se mulaqat karne wale wafd ki qiyadat Saudi-Pak mushtarka business council ke chairman Mansoor bin Muhammad Al Saud ne ki. Wazir-e-azam ne Khadim-ul-Haramain-ul-Sharifain aur wali ahd ke liye nek khwahishat ka izhar kiya. Kaha Saudi Arabia ke sath taalluqat ko strategic iqtisadi shirakat daari mein tabdeel karne ke khwahan hain. Umeed hai yeh daura mukhtalif shobon mein mufahimati yaddashton aur muahidon par dastkhat ki raah hamwar karega. Saudi wafd ne zaraat, bandargahon, hawai addon ki outsourcing aur tawanai ke shobon mein sarmaya kari mein dilchaspi ka izhar kiya.
Shehzada Mansoor bin Muhammad Al Saud ne pur-tapak istiqbal par wazir-e-azam ka shukriya ada kiya. Saudi wafd apne daure ke dauran aala hukumati numainDon aur stakeholders se bhi mulaqatein kare











