September ka long march mulki Siyasat ka rukh badal dega: Hafiz Naeem ur Rehman

Petroleum levy aur Mehngai ke khilaf Jamaat-e-Islami ne Timergara mein Jamaat-e-Islami ne jalsa-e-aam ka inaqad kiya, Hafiz Naeem ur Rehman jalsa gah pahunche to karkunon aur shurka ki janib se un ka purtapak istaqbal kiya gaya.
Is mauqe par nare bazi bhi ki gayi. Hafiz Naeem ur Rehman ne jalse ke bharpoor inaqad par party qiyadat ko mubarakbad dete hue kaha ke yeh ijtima chand hi ghanton mein jalsa-e-aam mein tabdeel hogaya











