Saudi cabinet ka abi guzargahon ko khula aur mehfooz rakhne ki zaroorat par zor

Saudi cabinet ke ijlas mein ilaqai kashidagi kam karne ke liye safarti koshishon ki himayat ki gayi hai.
Ijlas mein ilaqai o International soorat-e-haal ka jaiza liya gaya aur freedom of navigation aur shipping raston ke tahaffuz ki ahmiyat ka aadaada kiya gaya.
Saudi cabinet ke ijlas mein Saudi crown prince aur French sadr ki mulaqat ko saraha gaya, ijlas mein dono mulkon ke tarikhi taalluqat aur strategic taawun ko mazeed mazboot banane par ittefaq kiya gaya.
Mauzuaat:Saudi Arabia











