Rawalpindi mein barish ki surat-e-hal ko wazir-e-aala Punjab khud monitor kar rahi hain: Uzma Bukhari

Uzma Bukhari ne apne bayan mein kaha ke rescue, WASA, Para Force aur zilai intezamia ka amla field mein maujood hai, barish thamne ke foran baad pani ko clear kar diya jayega.
Uzma Bukhari ne kaha ke Rawalpindi mein WASA samet deegar idaron ke paas tamam wasail maujood hain, agle chand ghanton mein Rawalpindi se pani clear ho jayega.











