Rajab Butt ki khwahish, biopic mein Abdul Sattar Edhi ka kirdar ada karna chahta hoon

Lahore: Maroof YouTuber Rajab Butt ne marhoom samaji karkun Abdul Sattar Edhi ka kirdar ada karne ki khwahish zahir ki hai.
Rajab Butt jald hi filmi duniya mein qadam rakhne wale hain. Haal hi mein unhon ne ek podcast mein bataur mehman shirkat ki.
Interview ke dauran Abdul Sattar Edhi ka zikr chhid gaya, jis ke baad Social Media par nayi bahas shuru ho gayi.
Podcast mein un se poochha gaya ke woh kis shakhsiyat ki biopic karna pasand karenge. Rajab Butt ne ibtida mein mazahiya andaz mein kaha ke woh apni hi zindagi par banne wali film mein apna kirdar ada karna chahenge.
Rajab Butt ka kahna tha ke woh Edhi sahab se behad mohabbat karte hain aur un ki khwahish hai ke Edhi sahab ki biopic mein unhein un ka kirdar ada karne ka mauqa mile.
Rajab Butt ki jaanib se Abdul Sattar Edhi ka kirdar ada karne ki khwahish par Social Media sarifin ne zyada tar napasandidgi ka izhar kiya hai.











