Quetta ke Nawan Killi ke qareeb fauj ka tarbiyati tayyara gir kar tabah, Major Hasnain aur Captain Abdul Samad shaheed

Quetta (Atemad Desk): Pak Army ka ek tarbiyati tayyara Quetta ke ilaqe Nawan Killi ke qareeb gir kar tabah ho gaya, jis mein sawar donon pilot shaheed ho gaye.
ISPR ke bayan ke mutabiq tayyara takneeki kharabi ke bais hadse ka shikar hua. Shaheed hone walon mein instructor pilot Major Hasnain Shahzad Humayun aur zer-e-tarbiyat pilot Captain Abdul Samad shamil hain.
Fauj ke tarjuman idare ne kaha hai ke donon afsaran ne tarbiyati parwaz ke dauran jaam-e-shahadat nosh kiya. Hadse ki wajah takneeki kharabi batai gayi hai.
Mauzuaat:Quetta











