Punjab mein dhuan chhorne wali gariyon ke khilaf traffic police aur EPA ki mushtarka nakabandi ka faisla

Lahore (Atemad Desk): Traffic police Punjab ne soobe bhar mein dhuan chhorne wali gariyon ko sarkon par aane se rokne ka faisla kiya hai, jis ke liye traffic police aur mahaulyati tahaffuz ka idara EPA mushtarka nakabandi karenge. Is silsile mein tamam CTOs aur DPOs ko maraasla jari kar diya gaya hai.
SSP Headquarters Syed Nadeem Abbas ki jaanib se jari maraasle mein hidayat ki gayi hai ke traffic police, EPA aur mehkama transport par mushtamil mushtarka checking teams banai jayen aur kisi bhi dhuan chhorne wali gari ko sarak par chalne ki ijazat na di jaye.
Maraasle ke mutabiq ret, malba aur bhoosa khula le jane wali gariyon ke khilaf bhi karrawai hogi aur saman ko tirpal se dhanpna lazmi hoga. Motorcycles samet tamam gariyon ki headlights, backlights, fog lights aur indicators ka faal hona zaroori qarar diya gaya hai, jabke commercial, heavy transport, loader aur tractor trolleys par reflective tape aur sticker lagane ki hidayat ki gayi hai.
Over speeding, racing aur khatarnak driving ke khilaf crackdown tez karne ka hukm bhi diya gaya hai. Dhund wale ilaqon mein sarak aur road shoulder par bhari gariyon ki parking roki jayegi, jabke driveron ko gariyon ke darmiyan munasib fasla rakhne, raftar kam karne aur fog lights istemal karne ke bare mein agahi di jayegi.











