Multan: Rehman Baba Express Sher Shah station ke qareeb patri se utar gayi, 5 musafir jaan bahaq, 50 se zaid zakhmi

Multan (Atemad Desk): Rehman Baba Express ki bogiyan Sher Shah station ke qareeb outer signal ke paas patri se utar gayin, jis se ab tak 5 afraad jaan bahaq aur 50 se zaid musafir zakhmi ho gaye, jin mein khawateen aur bachche bhi shamil hain.
Rescue hukkam ke mutabiq ahalkar mutasira bogiyon se zakhmiyon ko nikal kar hospital muntaqil kar rahe hain aur amwat mein izafe ka khadsha hai. Railway hukkam ne bataya ke hadse se railway operation mutasir hua hai aur track clear karne ka kaam jari hai.
Wazir-e-azam Shehbaz Sharif ne waqie ka notice lete hue zakhmiyon ko fori aur behtareen tibbi sahuliyat faraham karne ki hidayat ki hai. Unhon ne zakhmiyon se izhar-e-afsos kiya aur mutalliqa hukkam ko imdadi karrawaiyan tez karne aur zakhmiyon ko har mumkin tibbi imdad dene ka hukm diya.











