Pep Guardiola ki Ghaza ki soorat-e-haal par tashweesh, Israeli hukumat par shadeed tanqeed

Manchester: Manchester City ke sabiq coach Pep Guardiola ne Ghaza mein Filistiniyon ki soorat-e-haal par tashweesh ka izhar karte hue Israeli hukumat par shadeed tanqeed ki hai.
Unhon ne Aqwam-e-Muttahida ki Filistini panah gazeenon ke liye imdadi agency UNRWA ki himayat mein jari ek video paigham mein aalami biradari se Filistini awam ki madad jari rakhne ki appeal ki.
Teen minute se zaid dauraniye ki video mein Guardiola ne bil-khusoos bachon ki mushkilat aur jang ke insani asraat ko ujagar kiya. Unhon ne kaha ke jaan-bahaq hone wale afraad mahaz aadad o shumar nahin balke naam, khandan, khwab aur yaadein rakhne wale insan the.
Spanish coach ne malbe tale walidain ko talash karte bachon, bhook aur bunyadi zaruriyat se mahroom khandanon ki soorat-e-haal ka zikr karte hue kaha ke Filistiniyon ki takleef ko nazar-andaz nahin kiya ja sakta.
Guardiola ne Israeli hukumat par Ghaza mein bade paimane par halakaton aur insani imdad ki tarseel mein rukawatein dalne ka ilzam bhi aid kiya. Unhon ne dawa kiya ke Ghaza mein 74 hazar se zaid afraad halak ho chuke hain.
Paigham ke ikhtitam par unhon ne aalami biradari se UNRWA ki maali moawanat ki appeal ki taake zarooratmand Filistiniyon tak imdad pahunchai ja sake.
Wazeh rahe ke Guardiola is se qabl bhi Ghaza ki soorat-e-haal par awaz utha chuke hain aur Filistiniyon ke liye insaf aur aman ki himayat kar chuke hain.











