Pasdaran-e-Inqilab ka Abnae Hormuz par American MQ-9 drone tabah karne ka daava, 54wan drone qarar

Tehran: Iran ki Pasdaran-e-Inqilab ne daava kiya hai ke us ne Abnae Hormuz ke upar parwaz karne wala American MQ-9 drone tabah kar diya hai.
Iran ki neem sarkari khabar rasan agency Fars ke mutabiq yeh karrawai mangal ki subah ki gayi. Fars News Agency ne Pasdaran-e-Inqilab ke hawale se bataya ke tabah kiya jane wala drone American sakhta MQ-9 tha.
Irani force ka daava hai ke yeh is nauiyat ka 54wan American drone hai jise us ne tabah kiya hai. Taham report mein American hukkam ki janib se is daawe ki tasdeeq ya tardeed ka zikr nahin kiya gaya.
Abnae Hormuz aalami tijarat aur tel ki tarseel ke liye intehai aham samandari rasta hai. 28 February ko America aur Israel ki janib se Iran ke khilaf jang shuru kiye jane ke baad Tehran ne khitte mein missile aur drone hamlon ke zariye jawabi karrawaiyan keen.
Report ke mutabiq Iran ne Abnae Hormuz mein bahri aamad-o-raft bhi amlan band kar di, jis ke baad America ne Irani bandargahon par bahri nakabandi nafiz kar di.
Drone mar girane ka yeh Irani daava aise waqt samne aaya hai jab Abnae Hormuz aur is ke gard-o-nawah mein kashidagi aalami tawanai ki tarseel aur aqlimi salamati ke liye aham mamla bani hui hai.











