Nimal Khawar ka apne wazan par baat karne walon ko jawab

Haal hi mein Nimal ne apne Social Media account par ek taqreeb ki kuch tasaweer post kin, yeh tasveerein Social Media par viral hui to kai pages ne inhein share kiya aur khayalat ka izhar kiya ke shayad Nimal umeed se hain.
In chah-megoiyon ke baad sabiqa adakara ne Instagram story par in tamam pages ko karara jawab diya.
Nimal Khawar ne apni story par likha yeh baat hairan kun hai ke log khawateen ke jism ke bare mein tabsre karte hue kisi qism ki jhijhak mehsoos nahin karte, ji haan! Mere wazan mein tabdeeli ho sakti hai.











