رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Nicotine vaping se awaz tabdeel ho gayi, Selena Gomez ka inkishaf, vaping chhorne ka elan

Nicotine vaping se awaz tabdeel ho gayi, Selena Gomez ka inkishaf, vaping chhorne ka elan
File photo: Gulukara o adakara Selena Gomez — Tasveer: Bashukriya health.yahoo.com

New York: Amriki gulukara aur adakara Selena Gomez ne inkishaf kiya hai ke nicotine vaping ke bais un ki awaz tabdeel ho gayi, taham is aadat ko tark karna mushkil hone ke bawajood faida mand sabit hua.

Selena Gomez ne Instagram Stories par jari ek video mein bataya ke unhon ne bil-akhir vaping chhor di hai. Unhon ne nicotine ki lat se chhutkara pane ki koshish karne wale afrad ko himmat na harne ki targheeb bhi di.

Adakara ka kehna hai ke woh apni awaz mein aane wali tabdeeli ko wapas nahin badal saktin, nicotine chhorna intihai mushkil hai, lekin yeh aadat is qabil nahin ke ise jari rakha jaye.

Selena Gomez ki awaz mein tabdeeli se mutaliq madah kai saal se guftagu kar rahe hain, jabke is hawale se un ki taqribat aur interviews ki Videos bhi Social Media par gardish karti rahi hain.

Gulukara ne taham-hal koi makhsoos tibbi tafseelat share nahin kin ke vaping ne un ki awaz ko kis tarah mutasir kiya hai.

Selena Gomez ne pehli martaba December 2025 mein Instagram Live ke dauran apni awaz mein tabdeeli se mutaliq qiyas araiyon par baat ki thi. Sawal puchhe jane par unhon ne wazahat karne ki koshish ki, lekin phir baat rok di. Un ka kehna tha ke baaz auqat aisa ho jata hai aur un ke gale ke andar sujan bhi ho jati hai.

Mauzuaat: