رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 21° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javed Ahmed · Editor: Kamran Javed

Mohammed bin Salman ki CENTCOM sarbarah se mulaqat, ilaqai surat-e-haal par tabadla-e-khayal

Mohammed bin Salman ki CENTCOM sarbarah se mulaqat, ilaqai surat-e-haal par tabadla-e-khayal

Saudi sarkari media ke mutabiq mulaqat ke dauran dono rehnumaon ne taza ilaqai pesh raft par tabadla-e-khayal kiya, taham Saudi ya American hukkam ki jaanib se muzakraat ki mazeed tafseelat jari nahin ki gayin.

Mulaqat aise waqt mein hui hai jab Yemen mein Iran ke hamayat yafta Houthi group ki askari sargarmiyon aur Saudi Arabia par hamlon mein izafa hua hai.

Reports ke mutabiq Houthi jangjuon ne haliya dinon mein Yemen ke Bahira-e-Ahmar se mutasil ilaqon mein tezi se pesh qadmi ki hai aur aham sahili shehar Mokha par qabze ke baad Bab el-Mandeb ke qareeb waqe aham jazeeron tak bhi apni rasai barha li hai.

Reports mein daawa kiya gaya hai ke Houthiyon ne Mayun (Perim) jazeere ke baad Greater aur Lesser Hanish jazair par bhi qabza kar liya hai, jis ke baes unhein Bahira-e-Ahmar ki aham tijarati guzargah par mazeed strategic bartari hasil ho gayi hai.

Wazeh rahe ke Bab el-Mandeb aabnaye Bahira-e-Ahmar ko Khaleej-e-Aden se milati hai aur aalmi tijarat ke liye intihai aham samandari rasta hai. Is raste se behri jahaz Bahr-e-Hind se Bahira-e-Ahmar aur phir Nahr-e-Suez ki jaanib jate hain.