Mashriq-e-wusta ke awam bironi mudakhalat mustarad kar dein: Chini sadr

Misri sadr se mulaqat ke dauran Chini sadr ne kaha ke China aman aur istehkam ke liye dialogue ki himayat karta hai, masla Palestine Mashriq-e-wusta ka aham masla hai.
Chini sadr Xi Jinping ne kaha hai ke mushtarka jamey taawun par mabni derpa security ka nizam qaim kiya jaye, taraqqi ke husool ke liye mazboot aur International rabite barhaye jayen.
Qabl azin China ke sadr Xi Jinping ne kaha ke sab se zaroori kaam Gaza mein fire bandi aur tanaze ke khitte mein phailne ke khatre se bachne ke liye jang ko jald az jald rokna hai.
Chini sadr ne yeh bhi kaha ke Palestine Israel tanaza hal karne ka bunyadi tareeqa do riyasti hal ko nafiz karna hai.











