Tiger Shroff firing case: Mulzimaan ne Emraan Hashmi ke ghar ki recce ka mansooba banaya

New Delhi: Bharati adakar Tiger Shroff ki rihaish gah par firing ke waqe ki tehqeeqat mein inkishaf hua hai ke mulzimaan ne Mumbai ke ilaqe Bandra mein adakar Emraan Hashmi ki rihaish gah ka bhi suragh lagane ki mansooba bandi ki thi.
Ghair mulki media report ke mutabiq mulzimaan ne Emraan Hashmi ke ghar ki recce ka mansooba banaya, taham woh durust maqam talash karne mein nakam rahe. Mumbai Crime Branch is maamle ki mazeed tehqeeqat kar rahi hai.
Tehqeeqati hukkam ko shubah hai ke giroh ke mukhtalif arkan ko alag alag zimmedariyan saunpi gayi thin, jin mein maqamat ki nishandehi aur aslahe ka intezam shamil tha.
Report ke mutabiq Kunal nami shakhs ne mubayyina tor par Bharati riyasat Punjab ke shehar Amritsar se aslaha faraham karne ka intezam kiya tha.
Tehqeeqat mein Radha aur Babita nami 2 khawateen ki naql o harkat ka bhi jaiza liya ja raha hai, jo mubayyina tor par 15 October ko Mumbai pohanchi thin aur Dadar East ke ek guest house mein qayam kiya tha. Mubayyina hamla aur Rehan ne in khawateen se aslaha hasil kiya, jis ke baad woh 18 October ko Delhi rawana ho gayin.
Police khawateen ke mobile phones ke data ka jaiza le rahi hai takay maloom kiya ja sake ke aya unhon ne deegar maroof shakhsiyat se mutaliq maqamat ka daura kiya tha aur wahan se hasil kardah maloomat mulzimaan ke sath share ki gayi thin ya nahin.
Tehqeeqat ke dauran hotelon mein kamre book karane ke liye mubayyina tor par jaali Aadhaar cards, farzi namon aur jaali dastkhaton ke istemal ka maamla bhi samne aya hai. Police ne hotelon ka record aur CCTV footage hasil kar li hain.
Hukkam mulzimaan ke mobile phones se milne wale WhatsApp paighamat aur audio recordings ka bhi jaiza le rahe hain. Police mulzimaan ke infiradi kirdar aur mumkina sahulat kari ya mali moawanat faraham karne wale deegar afraad ki shanakht ki koshish bhi kar rahi hai.
Tehqeeqat mein deegar mumkina hamlon se rawabit ka bhi jaiza liya ja raha hai.











