رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 13° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Makkah difaai muahida jald Turk parliament mein pesh kiya jaye ga: Erdogan

Makkah difaai muahida jald Turk parliament mein pesh kiya jaye ga: Erdogan

Ankara (Atemad Desk): Turk sadr Recep Tayyip Erdogan ne kaha hai ke Turkiye, Pakistan aur Saudi Arabia ke mushtarka difaai taawun ko moassir aur mustaqil idarajati nizam mein dhalne par kaam jari hai aur Makkah difaai muahide ki dakhili manzoori ke liye ise aainda dinon mein Turk parliament mein pesh karne ki taiyari ki ja rahi hai.

Aik taqreeb se khitab mein unhon ne Saudi Arabia par Houthiyon ke hamlon ki muzammat ki, jaan bahaq afraad ki maghfirat aur zakhmiyon ki jald Sehat yabi ki dua ki aur kaha ke Turkiye is mushkil ghari mein Saudi hukumat aur awam ke saath khara hai.

Erdogan ne kaha ke Saudi Arabia ke khilaf Houthiyon ki karrawaiyan naqabil qabool hain, Turkiye poore khitte mein aman aur istehkam chahta hai aur ilaqai qiyadat mein aman ke difaa aur qiyam ki koshishen jari rakhe ga.