Madina Munawwara mein Houthiyon ka power distribution station par drone hamla shadid ishteaal angezi hai, Pakistan

Daftar-e-kharija ne Madina Munawwara mein bijli ki tansib par Houthi militia ke hamle ko qabil-e-mazammat aur shadid ishteaal angezi qarar diya. Tarjuman ke mutabiq Masjid-e-Nabawi ko bijli faraham karne wale power station par hamla duniya bhar ke musalmanon ke liye ranj ka baais hai.
Bayan ke mutabiq Haramain Sharifain ke taqaddus aur zaireen ke tahaffuz ka har soorat ehteram kiya jana chahiye. Ilaqai aman o salamti ko khatre mein dalne wale ghair zimmedarana iqdamat fori band kiye jayen.
Pakistan ne baradar mamlikat Saudi Arabia ke sath mukammal aur ghair mutazalzil yakjehti ka izhar karte hue Saudi Arabia ki khudmukhtari, ilaqai salamiyat aur salamti ke liye mukammal himayat ka aadah kiya.
Pakistan ne Haramain Sharifain ke tahaffuz aur Saudi shehriyon o zaireen ki salamti yaqeeni banane ke liye Saudi Arabia ki koshishon mein bharpoor sath dene ke azm ka izhar kiya. Tarjuman ke mutabiq Pakistan khitte mein paidar aman o istehkam ke husool ke liye apni tamam tar koshishein jari rakhega.
Wazeh rahe ke Houthiyon ne aik aur napak jasarat ki hai, Makkah Mukarramah ke baad Madina Munawwara ko bhi nishana bana dala. Madina Munawwara ke Taiba grid station par drone se hamla kiya gaya. Yeh wohi grid station hai jis se Masjid-e-Nabawi mein bijli faraahmi ki jati hai.
Ittehadi afwaj ke mutabiq Taiba power distribution station par hamle ke nateeje mein aik transformer band ho gaya magar bijli ke majmui nizam par koi asar nahin para.











