رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 10° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid
Safha-e-Awwal› Balochistan ›Loralai

Loralai: Kumak program ke tahat maazoor afraad mein three-wheel motorcycles aur electric scooters taqseem

Loralai: Kumak program ke tahat maazoor afraad mein three-wheel motorcycles aur electric scooters taqseem
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Loralai: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Ahmed Bugti ke vision ke mutabiq program director Kumak (KUMAK) Munir Qambrani ki qiyadat mein Kumak program ke tahat maazoor afraad ki falah-o-behbood aur unhein baikhtiyar banane ke iqdamat jaari hain, jin ke silsile mein mazeed mustahiq maazoor afraad ko three-wheel motorcycles aur seh pahiya electric scooters faraham kiye ja rahe hain.

Is iqdam ka maqsad khusoosi afraad ko mahfooz, aasan aur munasib safri sahuliyat dena hai taake un ki naql-o-harkat, khudmukhtari, muashrati rasai aur muashi khud kifalat ko farogh mile.

Munir Qambrani ne kaha ke maazoor afraad muashre ka aham aur basalahiyat hissa hain aur unhein zindagi ke har shobe mein musawi mawaqe faraham karna sab ki mushtarka zimmedari hai. Unhon ne kaha ke munasib safri sahulat na hona khusoosi afraad ke liye taleem, rozgar, Karobar aur rozmarra zaruriyat tak rasai mein badi rukawat hai.

Unhon ne kaha ke Kumak program ka maqsad sirf imdad nahin balke khusoosi afraad ko khudmukhtar aur ba-waqar zindagi guzarne ke qabil banana hai, aur motorcycles aur scooters ki faraahmi se mustahiq afraad mulazmat, Karobar aur samaji umoor mein zyada faal kirdar ada kar sakenge.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan

Mauzuaat: